Thursday, May 21, 2015

Verbals and Non Verbals Explained.

                                             Verbals and Non Verbals Explained.


armed forces navy aur air force in teenon defence forces main  verbals and non verbals ki kafi zyada ehmiat hay q k ya aap ka pehla  test aur defining moment hay agar aap ya test clear kartay hai  to he  baqi kay test day saktay hain
waisa verbals aur non verbals itnay mushkil nahin hotay agar aap in ka method jaan lain to aap inhain easily clear kar saktay hain verbal and non verbals main sab sa important 2 cheezain hain

TIME AND METHOD 
  yes time agar aap na time ka khayal rakha to aap 30 minute ma easily 90 ya 96 mom verbals kar saktay hain
aap koi bhi test dain hamaisha shuru ma sawalat asan hotay hain agay ja kar mushkil hotay jatay hain agar aik no verbal screen ma aya aur aap na 4 seconds ma us ka answer guess kar k click kar lia to aap ka time zaya nai hoga aur agar aik mushkil sawal main aap na kisi verbal ya non verbal ma 30 seconds laga diya to yakeenan aap ka time zaya hoga
kisi b verbal ya non verbal ko zyada sa zyada 12 ya 15 seconds dain is sa zyada nahin q k agar aap har question ma 20 20 seconds daingan to aap k k lia test ko pass karna mushkil ojayaga
 
lets suppose Agar 96 non verbals hain aur agar aap 50 answers correct daita hain to aap pas hain
aksar candidates kehta hain k main sirf 50 karunga  q k 50 correct answer daina wala pass hota ha
SERIOUSLY ?? kya aap ki IQ itni hay k aap 50 kay 50 answers teek dain aap ko chahiya k aap jitna hal kar saktay hain karain lakin ya tab he mumkin hoga jab aap time ka khayal rakhaingan agar aap aap har question ko 10 ya 12 seconds daingan to aap 96 questions easly kar sakaingan aur pass honay ki guarantee main aap ko daita hun lakin is ka matlab ya b nahin k aap baar baar ghari ko daikan k 12 seconds hua k nahin haha,, bus aap mind bana lain k jaldi jaldi karna hay ya koi css kay papers nahin k aap ko ghanton bhaitna paray ga ya aap k IQ test hay jo mind main ata hay click it.

2nd is METHOD 
Agar aap kisi test ka method samaj jayain to vo aap ko asan lagay gi aap kisi PHD physics ko achanak non verbals solve karnay ko dain to vo nahin kar payaiga q k usay is k method ka nahin pata
aur jitna aap practice karaingan utna aap ko asan lagayga aap google ma search karain aap ko kahin websites milaingan jahan aap practice kar saktay hain aur agar aap time aur method donon ka khayal rakhaingan to INSHAHALLAH aap zarur kamyab hongain..

SHUKRIA

No comments:

Post a Comment